This Beautiful Poem 'Mujh Jaisi Ladki' Has written and Performed by Sainee Raj on the stage of 'UnErase Poetry'.

MUJH JAISI LADKI POEM LYRICS - Sainee Raj

Mujh Jaisi Ladki Poem


Akeli khoyi khoyi si, woh alhad ladki 
Ishq mein jaagi-soyi si diwaani ladki
Kaanon mein jhumke, chaal mein angdaai
Ek diwaane se dil lagaayi

Sab ne kaha paagal ho gayi hai paagal ladki
 Ishq mein jaagi-soyi si diwaani ladki
 Naa duniya ki samajh, naa sahi aur galat ka fark

 Ishq ke rang se rang diya apne dil ka warak
Naa tajurba naa samajhdaari, badi kamsin thi woh

Toofaan mein kashti utaare, badi maasoom thi woh
Ishq ki kamaai se ghar-ghar khelti
Apni dhun mein mast, woh meera si ladki
Chaand se dil laga kar zameen se wafaayein maangti

Hawaaon se ladane waali, woh patang si ladki
Jab aankh khuli to thi nahin woh ab bhi wahi chhoti si ladki
Dil ko hatheli par paros kar dene waali, woh bholi si ladki

 Kahte hain...kuch bhaari sa gujra tha uske naram se seene ke upar se
Ab zara naaptol kar hansti hai, woh manmauji si ladki

Haqeeqat darwaaje par dastak de rahi thi
Bhala palak jhapkaati toh kiske liye, woh sapanon jaisi ladki
Samet kar apni aabroo phir kalam uthaaegi
Khud apni kahaani likhegi, woh ziddi si ladki
Purja purja kar jodegi apna seena

 Himmat kar phir dil lagaaegi, woh diler ladki
lafzon ko dhaal banaakar har makaan paaegi
 Khud hi khud se baaten karne waali, woh kitaabon si ladki

 Teekhi si meethi si woh hirani si ladki
Aaine mein dekho to mujh jaisi hi woh, mujh jaisi ladki.

Written By -
                                                 Sainee Raj



Mujh Jaisi Ladki Video