Meri Nigaah Mein Wo Shakhs Aadmi Bhi Nahi Ghazal Lyrics In Hindi
तजल्लियों का नया दायरा बनाने में
मेरे चिराग लगे हैं हवा बनाने में
अड़े थे ज़िद पे के सूरज बनाके छोड़ेंगे
पसीने छूट गए एक दीया बनाने में
मेरी निगाह में वो शख्स आदमी भी नहीं
जिसे लगा है ज़माना खुदा बनाने में
अभी इन्हें न परेशान करो मसीहाओं
मरीज़ उलझे हुए हैं दवा बनाने में
तमाम उम्र मुझे दर-ब-दर जो करते रहे
लगे हुए हैं मेरा मक़बरा बनाने में
ये चंद लोग जो बस्ती में सबसे अच्छे है
इन्ही का हाथ है मुझको बुरा बनाने बनाने।
Meri Nigaah Mein Wo Shakhs Aadmi Bhi Nahi Ghazal In English -
Tajalliyon ka naya daayra banaane mein
Mere chiraag lage hain hawa banaane mein
Ade the zid pe ke suraj banaake chhodenge
Paseene chhoot gaye ek diya banaane mein
Meri nigaah mein wo shakhs aadmi bhi nahi
Jise laga hai zamaana khuda banaane mein
Abhi inhein na pareshaan karo masihaaon
Mareez uljhe hue hain dawa banaane mein
Tamaam umr mujhe dar-ba-dar jo karte rahe
Lage hue hain mera maqbara banaane mein
Ye chand log jo basti mein sabse achhe hain
Inhi ka haath hai mujhko bura banaane mein
Written By -
Rahat Indori
0 Comments