SAINEE RAJ - Phir Kab Aaogay Poetry

Phir Kab Aaogay Poetry By Sainee Raj


Sard, garm, gila
Mausam ka rukh badla

Bikhre waadon ko maine kas kar pakda 
Dard ne maazi se yaade udhaar mangawayi 

Neele aasmaan mein chaand ne apni shakl dikhayi

Par tum na aaye...
Saal sadiyon se lambi lage

Aankhen jali intzaar karte-karte Jhurriyon ne hothon ke kareeb angdai li

Haathon ki rekhaon ne bhi apna raasta badla

Par tum na aaye...
Makaan ki deevaaron par papdi ne nakshe banaaye

Maanon jaise mere kayi raaj inme dafan ho

Jaalon se pankhon ka wajan kuchh aur badha

Hawa bhi kayi dafe khidki khol ke aa gayi

Par tum na aaye...
Phir waqt ne aisa khel khela

Dard bhi dukh dukh kar thak gaya
Girkar sambhalna humne bhi seekh liya 

Aur ek din achaanak...

Tum aa gaye..!!
Birha ki raaton ne dekha

mej par pade bakse mein se 16 shringaaron ne aawaaj lagayi

Dil maano halak tak ki sair par nikal pada ho 
Is martba jaane kya tabaahi machaaoge

Ab aa hi gaye ho to ghar ke andar nahin aaoge?
Suji aankhon se tumhaara deedaar kiya

Tum ek baar pyaar se dekh lo ye intzaar kiya

Harfo ne lafzon ka saath yoon chhoda ki jo jumle maine taiyaar kiye the

Ki ek din tum par barsaaungi 
Tum sunoge aur main sunaaungi

Ladungi, tumhen noch khaungi 
Aur phir jab thak kar haar jaungi

Tab tumhen ashkon se apne kisse sunaungi

Wo jumle jabaan par hi chipak gaye
Ab tum saamne ho aur alfaaz mujhse bahut door

Aankhon mein nami hai 
Aag donon taraf lagi hai

Main ab bhi naraazgi ka daaman thaamen baithi hoon

Tumne ab tak joote nahin utaare 
Is baar to ruk ke jaoge

Bataao phir kab aaogey?